BJP MOTION PICTURES : A WEDNESDAY! Re-MODIFIED |
*Also on theunrealtimes.com* http://www. theunrealtimes.com/2016/11/13/ neeraj-pandey-announces-film- on-5001000-ban-a-wednesday-re- modified/*
Neeraj Pandey is set to release the sequel to his 2008 thriller drama A Wedenesday. Set on the backdrop of PM's million dollar stroke that is set to change the face of Indian Rupee(Re). The movie is titled A Wednesday:Re-Modified.
Neeraj Pandey is set to release the sequel to his 2008 thriller drama A Wedenesday. Set on the backdrop of PM's million dollar stroke that is set to change the face of Indian Rupee(Re). The movie is titled A Wednesday:Re-Modified.
The protagonist is an old chai
wallah who is frustrated after serving chais from morning to evening to
affluent people.Poor chai wallah is highly irritated when people emerging from
luxurious cars offer notes of 500 and 1000 to him and ask "Chacha Chuttey
kar do". Feeling it as a mockery to his honest profession at the hands of
people who have no worth of Gandhi's ideals or his currency notes.
Tired of such contempt of large
currency notes he arrives on the roof top of an under construction building and
calls the Governor of the Bank of Nation to share his 'Man ki Baat'. He asks
the governor to ban 500 and 1000 currency notes from Wednesday onwards.
If not, he would detonate bombs kept in Chaipatti dabbas delivered as a Diwali
gift by him to all banks in the city .
The conversation that ensues is as
below:
Chai Wallah (CW): Aapke ghar me
cockroach aata hai to aap kya karte hai Governor saab.Aap unko paalte nahi
maartey hain. Ye dono note kaala dhan ban kar mere ghar ko ganda kar rhae the
aur aaj main apna ghar saaf karna chahta hoon.
Gov: Tum ho kaun?
CW: Main wo hu jo apne pocket me itna
chiller le kar rakhta hai ki kbhi usse koi 500 ka kbhi 1000 ka chutta karwa leta hai. Main
wo hun jo month end hone pe ye sochta hai ki is baar savings account me minimum balance
maintain hoga ya nahi, ya is baar IT walo ne kitna tax kaata hoga. Main wo hoon
jo mahiney ki aakhri taarikh pe office jata hai to uski biwi har do ghante baad
phone kar k puchti hai ki chai pee ki nahi, khana khaya ki nahi. Dar asal wo ye
jaan na chahti hai ki salary mili ki nahi.
Main wo bhi hu jo kabhi Credit Card k
line me fasta hai, kbhi Aadhar card k. Main wo bhi hoon jo saal me do baar SALE
season ka wait krta hai. .Main wo hu jo jab shaan se apne imaandari k two
wheeler pe nikalta hai to kbhi Mercedes ko side deta hai, kbhi Fortuner ko.
Gaadi koi bhi brand ki ho bewajah side hota mai hi hoon. Bheed to dekhi hogi na
aapne. Bheed me se koi bhi working class ko dekh lijiye main wo hoon. I am
just a stupid Chai Wallah, sorry common man wanting to equalise everyone's
debts.
Gov: Aaj Achanak Ye
Stupid Comman Man Kaise Jag Gaya, wo Bhi 100 kilo chai patti k saath.
CW: Kyun, Jag
gaya to taklif ho rahi hai ?? Jindgi bhar ghut - ghut ke marte rahna chahiye tha mujhe...Dusro ko apne saamne amir hote dekhte rehna chahiye tha mujhe .. aur ye achanak nahi hua hai Governor sahab, Yu kahiye ki time nahi mila , fijul k media k uljhano me aur Videsh se kala dhan laane k chakkar
me ye kaam jara neglect ho gaya, Lekin der aaye durast aaye.. Wo dono
notes aaj hi ban honge...
Gov: lekin ye do
hi kyun? Aur bhi to hain 100 aur 50 k notes?
CW: Bas 100 aur 50
hi to hai humare paas saab inko ban kiya to khayega kya common man.
Gov: Tumhara koi
apna kareebi kya tumse jyada rich hai ya jyada badi gaadi hai uske paas jisne
tumahre Chai wala hone ka majak udaya?
CW: Kyun..mujhe us
din ka wait krna chahiye jab koi apna, mere se jyada paise kama kar mujhe
beijjat kar k chala jaaye. Jaan na hi hai to suniye. Ek marwadi tha jo roj mere
dukaan pe aata aur 7 rupaye ki ek cutting chai pi k chal jaata. Naam nahi
jaanta tha uska bas Udhaar khaatey me uska phone number rakha tha maine aur
naam rakha tha Udhaari. Ek din wo ek kaali mercedes me aya aur 1000 ke dus note
de kar bola "Chacha udhaar utaar dena aur KEEP THE CHANGE".
Gov: to tum ye us
last k english sentence k badle me kar rhe ho?
CW: Nahi nahi
nahi...English me itna weak bhi nahi hoon. I always knew what CHANGE is. After
all we brought the CHANGE in 2014. par ye acceptable nahi hai saab..ki koi bhi
meri chai dukaan k saamne apne kaale dhan ki kaali gaadi me, kaale suit me
aakar, apne kaale dhan k 1000 k note ko futkar kara le. Unhe fakra hai
apne badi gaadiyon pe, 1000 aur 500 ki gaddiyon pe, Hawala transactions
pe...mujhe fakra hai khud pe..ki main aise logon k 1000 aur 500 ke notes ko ban
karwa raha hoon.
Gov: Tum saabit
kya karna chahte ho?
CW: Main saabit
kuch nahi krna chahta . Governor saab main bas aapko yaad dilana chahta hoon ki
people live in poverty by force and not by choice. Aapko kya lagta hai ki jo
log kaala dhan rakhte hain wo system se jyada inteligent hai? Arey internet pe
'how to hide money in India' search kar k dekhiye, teen sau baawan sites
milengi ki kaala dhan kaise chupaye.
Gov: Tumhari
ye home made add salt to toothpaste wali philosophy galat hai ..ye sahi tarika
nahi hai. ? logon ko time to do.
CW: Haan..lekin aaj main tarikey k
baarey me nahi! Natijey k baarey me soch raha hoon. Aap log saksham hai aise
logon se niptaara paaney k liye. Par nahi..Why are you not nipping them in the
bud. Mujhe yakin hai ki jo us din wo Udhaari apne black money ka note de kar
Keep the change bola tha..wo ek bahut bada sawaal tha. Ki hum to aise hi black
money hoard kar k amir ban jaayenge...ki tumse1000 aur 500 k futkar
maangenge..Tum kya kar loge. Yes!! They ask us this question..on a Monday,
mocked us on a Tuesday...I am just replying on A Wednesday!!!
The movie is set to release early next year.
The movie is set to release early next year.
Thankyou for reading
No comments:
Post a Comment